Rubdoot Lyrics Toonpur Ka Super Hero - Ajay Devgn, Altaf Raja, Sonu Nigam, Sudesh Bhonsle
Rubdoot Lyrics Toonpur Ka Super Hero - Ajay Devgn, Altaf Raja, Sonu Nigam, Sudesh Bhonsle
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Image
Info
Movie/album: Toonpur Ka Super Hero
Singers: Ajay Devgn, Altaf Raja, Sonu Nigam, Sudesh Bhonsle
Song Lyricists: Mumzy Stranger
Music Composer: Anu Malik
Music Director: Anu Malik
Music Label: Eros Music
Starring: Ajay Devgan, Kajol, Tanuja
Release on: 24th December, 2010
lyrics
Hari rail laal rail se hai mazboot Hari rail laal rail se aa rubdoot Hari rail laal rail se hai mazboot Hari rail laal rail se aa rubdoot
Kis cartoon ne mujhe jagaya Kis joker ka waqt hai aaya Sasur mera yamdoot Naam mera rubdoot Lakeeron se bane faqeero! Kiya paat agar lakeeron ko Ragarr ke rakh doonga main Tum chalti phirti tasveeron ko
Yaqeen hai ya sapna Chamatkaar ya chakma Main aankhain badal ke aaon Ya pehen ke aaon chashma Aray yeh to mera super hero Sab se tagra, sab se dhaansu Khushi ke maare rona hai mujhe Kahaan hain mere khushi ke aansu
Mera tan karne lagi pasliyaan Dekh ke apna super star Battees daant lage naachne Hone lag gaya chaand nayaa
Mera hero aagay, mujh ko milne aagay Mere dil pe cha gaya, woh woh woh woh Parda phaar ke aaya hai Tv torr ke nikla hai Ya kisi coster se chori chori phisla hai Jese marzi aaya hai Aagaya bas aagaya Mere dil pe chaa gaya woh woh woh woh
Yeh nazar battu hai Bollywood mein lattu Japta hai mera naam, Lagta hai bagla ji ne kaha
Tum mere sacche sacche fan ho rubdoot Is baat ka tumhaare paas kya hai saboot Hmmm saboot
Saboot hi saboot hai, kya bataeyn ji ham Bataeyn door se hi tum ko dil de chuke sanam Jab kya romance ya villon se haatha paai Sab se zyada seetiyaan main ne bajaai Har saal main ne tera birthday manaaya Har film ke hit hote hi yeh geet gaaya
Mera hero chaa gaya, Sab ke dil pe chaa gaya Mera hero aagaya, Woh woh woh woh
Je khuli ke main, tum ho mere super fan Super fan ka mila award O my god, o my god Ab khila to makkhan Phir dhoondte hain mil ke dhakkan Meri choro, Ab tum bollywood ki koi baat sunao Acche actor lagte ho, Kuch acting wacting kar ke dikhao Ayyy pehle yeh batao Tumhaare naam mein kitne k hain Kkkkiran…hmmm Main ne kaha ji suniye
Zara autograph to dijiye… isssh Yaar tum to bollywood ke bhi baap ho Jitne marzi chaaho utne autograph lo Autograph le jaeyga yeh phopat Saare ka saara plan hojaey ga chopat Autograph to chaahe le lo aik hazaar Gar main bhi kuch maangun To kya de pao ge yaar Jaan maango, jaan haazir Dhaan maango, dhaan haazir Toonpur mein jitna bhi hai
Woh saara saamaan haazir Maangta hoon aik choti si cheez Toon astra de do na please Toon astra… Maang rahe ho toon-astar Hil gaya hai tumhaare dimaagh ka pilastar Toon astra Aray choro yeh notanki Baat karo koi dhang ki Toon-astar pakrao Best friend ban jaao
Best friend ka offer de kar Tum ne barhaya mera maan Tumhaari is offer ke Ooper sau sau toon-astar qurbaan Toon-astar to tum ne le liya, Per aik baat yaad rakhna Tum isey sirf aik baar istemaal kar sakte ho Kyaa…itne saary toonasur aur sirf aik baar China ka maal hai kya Actually woh kya hai ke Is ko charge karna parta hai Aur is ka charger main khud hoon
Oh…chalo… Ab mera autograph De doonga rubdoot ji Pehle aap ki is rubber waali Pencil ka trial to hojaey Aditiya, main jaa raha hun Upar waaly, main aaraha hun.