Aarambh Lyrics Gulaal - Piyush Mishra
Lyrics in Bengali, Hindi & English, Best Hindi, Bengali songs lyrics of all timeHindi song lyrics, Bengali song lyrics of the all time all in English, Hindi and Bengali, Hindi song lyrics in English, best Hindi songs lyrics of all time, romantic songs lyrics Hindi 2021
Aarambh hai prachand, Bole mastako ke jhund Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do Aarambh hai prachand, Bole mastako ke jhund Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do Aarambh hai prachand, Bole mastako ke jhund Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do Aarambh hai prachand
Mann kare so praan de, Jo mann kare so praan le Wahi to ek sarv shaktimaan hai Mann kare so praan de, Jo mann kare so praan le Wahi to ek sarv shaktimaan hai Ishr ki pukaar hai Yeh bhagwat ka saar hai Ki yudh hi to veer ka pramaan hai Kauravo ki bheed ho Ya pandavo ka neer ho Jo lad saka hai Wo hi to mahaan hai Jeet ki hawas nahi, Kisi pe koi vash nahi Kya zindagi hai thokaro pe maar do Maut anth hai nahi To maut se bhi kyu dare? Yeh jaake aasmaan mein dahaad do Aarambh hai prachand, Bole mastako ke jhund Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do Aarambh hai prachand
Ho daya ka bhaav Ya ki shaurya ka chunaav Ya ki haar ka wo ghaav Tum yeh soch lo Ho daya ka bhaav Ya ki shaurya ka chunaav Ya ki haar ka wo ghaav Tum yeh soch lo Ya ki poore bhaal bhar Jala rahe vijay ka laal Laal yeh gulaal, tum yeh soch lo Rang kesari ho Ya mridang kesari ho ya ki Kesari ho laal tum yeh soch lo
Jis kavi ki kalpana mein Zindagi ho prem geet Uss kavi ko aaj tum nakaar do Bheegti nasso mein aaj, Phoolti rago mein aaj Aaj aag ki lapat ka tum baghaar do Aarambh hai prachand, Bole mastako ke jhund Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan Aaj ek dhanush ke baarn pe utaar do Aarambh hai prachand Aarambh hai prachand Aarambh hai prachand Hoye hoye hoye..